Teekha banta hai Mirch see, and nimbu ke Bina swaad nahi ata,
Nimbu mirch ke chatke Bina, khane ka maza hi nahi ata,
Jawani main bebas na hue, to Zindagi main kuch raas nahi ata
Ek taraf hai woh Chand, na dekho to sokoon nahi ata,
Dusri taraf hai woh Chand, Jo dikhe to din raat karaar nahi ata,
Jawani main bebas na hue, to Zindagi main kuch raas nahi ata
Kahe kaviyatri Rajnigandha, sirf saans lene se jiya nahi jata,
Ghalti Kar na seekhe, use padhake sikhaya nahi jata,
Jawani main bebas na hua, to Zindagi main kuch raas nahi ata